Assalam
oalaikum,
Kala
jadu ki iqsaam beshumaar hain. Haasid ko shaitan kis tarah se behkaaega aur woh
victim ko kis tarah se nuqsan pahunchana shuru karde- yeh koi nahin kah sakta.
Koi dushman victim ki khushiyon ke piche pada hua hota hai to koi shadi ke, koi
mulazimat ki to koi uski azdawaaji zindagi ki. Koi hasid victim ke lambe baalon
ke piche pada hua hota hai to koi us ke baal- bachon ke. Bas yun samajh lein ke
jo shae victim ke paas achi dekh li bas fauran us shae ko barbaad karne ki
zordar koshish mein lag jate hain hasid. Ab chahe woh victim ki khubsurti jaisi
koi sat’hi shae ho ya us ke kirdar jaisi gehri shae, victim ki sehat jaisi koi na-guzeer
shae ho ya zahaanat jaisi zaruri, sab daao per lag jati hain kala jadu ke waje
se. Haasid ko sirf jadugar tak pahunch ker aur apna jhuta dukhda sunaana hota
hai aur paison ke lalchi jadugar bina Allah (swt) ke khauf ke bhole bhale logon
ko nuksan pahunchaane mein masruf ho jaate hain.
Zahir
hai ke mukhtalif qism ke jadu ke asaraat aur unki alaamaat bhi ek dusre se alag
hogi. Is ke bawajud aisi kai alamaaat hoti hain jo aam taur per har qism ke
jadu ke ibteda mein paai jaati hain. Is baat se sab waqif hain ke sifli jadu
jinnat ke madad se karte hain jadugar. Yani ke jab jadugar jadu karega to us ke
ishaare per us ke maatehet jo jinnat honge woh victim tak ja pahunchenge aur
usko ya to zehni taur per apna (victim ke dushman ka) ghulam banana ki koshish
karienge ya phir us ko jismaani takleef mein mubtila karne ki koshish karienge.
Zehni taur per apna ghulam banana se pahle jinnat ko kafi paapad belne pad
jaate hain khas taur se tab agar victim deendar ho aur uska quwwat- e- iraada
agar mazbut ho. Agar che victim deendaar ho, aqil-e-saleem ka maalik ho aur woh
apna zyadatar waqt Allah (swt) ki Ibadaah aur Dhikra mein guzarana pasand karta
hai duniya ki mughallezaat ke bajae to aise mein sifli ke jinnat ko kafi
takleef ho sakti hai. Sifli ke jinnat ko victim ke zehen ko apne qabu mein
karne ke liye us ko daraana dhamkaana padta hai aur ulte seedhe kaam karne per
amaadah karna padta hai. Zaahir hai ke jo shakhs sirf Allah (swt) se darega us
ko yeh jinnat kis tarah qabu mein kar sakte hain.
Bahrahaal,
har qism ke jadu mein jinnat jab victim ke qareeb pahunch kar aur us per jadu
karna shuru karte hain to aam taur per yeh alaamaat hoti hain:
1. Jinnat
ke insani jism mein daaqhil hone ke sabab victim ko sote waqt jhatka lagta hai
jisse us ki ankh aksar khul jati hai.
2.
Jaagte waqt victim ke jism mein agar koi jinn
daaqhil hona chah raha ho to us ki ankh phadphadaane lagti hai. Victim agar
jadu ki alaamaton se baaqhabar na ho to woh kaun si ankh phadak rahi hai yani
ke daain ya baain is baat per ghaur kar ke aur yeh sochne mein masruf ho jaata
hai ke us ke sath kuch acha hone wala hai ya bura. Itne mein jinnat apna kaam
karke aur shaitani waswase daal ker victim ke zehen mein aur chalte bante hain.
3.
Jab jinnat victim per jadu karne ke liye us
per tut padte hain to us waqt victim ka koi bhi pattha (muscle) phadphadaane
lagta hai. Agar victim bekhabar hai jadu se to woh samjhega bhi nahin ke yeh
kya hua. Koi mamuli si baat samajh ker us ko nazarandaz kar dega.
4.
Jab jinnat jism mein daqhil ho ker poore mein
daudte hain to jild ke bilkul nichli satah per khaarish mehsus hoti hai. Victim
samajhta hai ke jild ke ooper aam kharish ho rahi hai lekin khujaane se bhi us
ko rahat nahin milti kyunki kharish jild ke ooper hoti hi nahin hai.
5.
Aksar aisa bhi hota hai ke zaahiri taur per
koi bhi alaamat na dikhe jisse victim jinnat ki makkari ko samajh pae. Lekin
zehen mein koi betuka sa waswasa aa jaata hai. Jinnat khamoshi se aa ker victim
ke zehen mein waswasa daal sakte hain jis ke zariye unka maqsad daraane ka bhi
ho sakta hai, behkaane ka bhi; bewakuf banaane ka bhi ho sakta hai aur uljhaane
ka bhi. Ab yeh victim per munhasir hai karta hai ke woh in waswason ka kitna
asar leta hai. Agar wo yeh jaanta bhi nahin yeh yeh betuke khayaal us ke zehen
mein kaun daal raha hai to aise la-ilmi aur beqhabari ke aalam mein mumkin hai
ke jinnat apne maqsad mein kamyab ho jaenge.
6.
Jinnat ke jism mein maujudgi ki ek alaamat
yeh bhi hai ke halaq mein achanak behad gandi badboo aane lagti hai
7.
Ek alaamat yeh bhi hai ke paeron ke zariye se
garmi ooper ki jaanib aati hui mehsus hoti hai.
8.
Is ke alaawa kisi bhi qism ke jadu mein
moakkil ya victim ka apna humzad us ko khwabon ke zariye se aaghaah kar deta
hai jadu ke bare mein.Lehaza aksar jadu ke victims ko khawabon mein nijazat
dikhai deti hai jo is baat ka suboot hai ke us per palide yani ganda amal
karwaya gaya hai. Agar kisi khaas sifli moakkil ka istemal kiya hai jadugar ne
jaise ke chupkali moakkil ya ullu moakkil to phir wahi moakil khwab mein dikhai
deta hai. Yeh ek ishara hota hai qudrat ke taraf se taaki victim chawkanna
hojae aur apna roohai ilah kare magar aksar log khawabon ko koi ghaer zaruri
shae samajh ker apne khwabon ko nazarandaz kar dete hain.
9. Agar
victim deendar hai to aise mein jadu asar nahin karega.Lehaza sifli ke jinnat
aise victims ko deen se dur karne ki koshish karte hain. Victim ke zehen mein
waswasa daalte hain ke ‘Tumhe namaz padhne mein badi takleef ho rahi hai’.
Victim agar jinnat ki makkari na samajh paya to woh namaz se dur bhaagne lagta
hai.
To
yeh kuch aam alaamaat thin jin se victim aasaani se samajh sakta hai ke us ke
sath kya ho raha hai. Yeh alaamatien kisi bhi qism ke jadu ke ibteda mein dekhi
ja sakti hain. Agar in alaamaton ko nazarandaz kar diya jaae bekhabri ke aalam
mein aur victim apna roohani ilaj na kare to phir yehi alaamatein phuqhta aur
khaufnaak hoti chali jaati hain. Jaise beemari ke aakhri marhale mein koi agar
mareez ko hakeem ke paas le ker pahunche to hakeem dekh ker yahi kahega ke, ‘Bahut
der ho chuki hai’. Yahi qissa tab bhi pesh aa sakta hai jab kisi jadu ke victim
ko sab liye baithe rahein aur us per jadu ka asar badhta chala jae.